*****SABAK:**** -*
Allah Ke Nek Bando K Aqklaaq Bade Buland Hote
Hain. Burayi Ka Badla Bhalayi Se Dete Hain. Yeh Sab Jhalak
Hai Us Pyare Aaka Huzoor RasoolALLAH Sallallahu Ta'ala
Alaihi Wasallam
Ki Us Pyari
Seerat Ki...
SALAAM US PAR JISNE DUSHMANO SE BHI MUHABBAT KI..
SALAAM US PAR JISNE DUSHMANO SE BHI MUHABBAT KI..
SALAAM US PAR JISNE GAALIYA SUNKAR DUAYEN DI..
Allah Ke Maqbool Bando Ki Maqbuliyat Wa Azmat Ka Raaz Isi
Ittebaye Rasool Me Mazmar Hai.
ALLAH HAME UNKI MUHABBAT ATAA FARMAYE.
ALLAH HAME UNKI MUHABBAT ATAA FARMAYE.
Ek Jawaan Saarangi Baja Raha Tha. Ittefaakan Vaha Se Hazrat Baiyazeed Bustami Rehmatullahi Alaih Ka Guzar Hua. Aapne Use Dekha To
Farmaya"La hauLa Wala Kuwwata Illa Billahil Aliyyil Azeem".
Us Nojawaan Ko Gussa Aaya Aur Usne Saarangi Hazrat Baiyazeed Bustami Rehmatullahi Alaih Ke Sar Par De Maari. Voh Saarangi Tuth Gyi Aur Hazrat Baiyazeed Rehmatullahi Alaih Ke Sar Par Bhi Chot(injury) Lag Gyi.
Hazrat Baiyazeed Bustami Rehmatullahi Allaih
Khamoshi Se Tashreef Le Aaye Aur Fir Uski Saarangi Ki qeemat Aur Kuch Mithayi Us
Nojawan K Paas Bheji.
Kehlva Bheja Ki Bhai Tumne Apni Saarngi Mere Sar Par Maarkar Tod Dali, Yeh Uski qeemat Hai. Dusri Kharid Lo Aur Yeh Mithayi Isliye Bhej Raha Hu Taaki Uske Tootne Se Jo Tujhe Ranj Pachucha Hai Voh Door Hojaye.
Us Nojawaan Ne Jab Ye Baat Suni To Dauda Hua Aaya Aur Hazrat Baiyazeed Rahmatullahi Alaih Ke Qadmo Par Gira Aur Tauba Kiya Aur Boht Roya. Aur Bhi Kayi Jawan Use Dekh Kar Taaeb Ho Gaye.
(*****TAZKIRTUL -AULIYA SAFA 175*****)
karza ho jai to kiya karne chahiye
ReplyDelete