Ek Jawaan Saarangi Baja Raha Tha. Ittefaakan Vaha Se Hazrat Baiyazeed Bustami Rehmatullahi Alaih Ka Guzar Hua. Aapne Use Dekha To
Farmaya"La hauLa Wala Kuwwata Illa Billahil Aliyyil Azeem".
Us Nojawaan Ko Gussa Aaya Aur Usne Saarangi Hazrat Baiyazeed Bustami Rehmatullahi Alaih Ke Sar Par De Maari. Voh Saarangi Tuth Gyi Aur Hazrat Baiyazeed Rehmatullahi Alaih Ke Sar Par Bhi Chot(injury) Lag Gyi.
Hazrat Baiyazeed Bustami Rehmatullahi Allaih
Khamoshi Se Tashreef Le Aaye Aur Fir Uski Saarangi Ki qeemat Aur Kuch Mithayi Us
Nojawan K Paas Bheji.
Kehlva Bheja Ki Bhai Tumne Apni Saarngi Mere Sar Par Maarkar Tod Dali, Yeh Uski qeemat Hai. Dusri Kharid Lo Aur Yeh Mithayi Isliye Bhej Raha Hu Taaki Uske Tootne Se Jo Tujhe Ranj Pachucha Hai Voh Door Hojaye.
Us Nojawaan Ne Jab Ye Baat Suni To Dauda Hua Aaya Aur Hazrat Baiyazeed Rahmatullahi Alaih Ke Qadmo Par Gira Aur Tauba Kiya Aur Boht Roya. Aur Bhi Kayi Jawan Use Dekh Kar Taaeb Ho Gaye.
(*****TAZKIRTUL -AULIYA SAFA 175*****)
No comments:
Post a Comment