Saturday, 18 May 2013


LADKI KI PAIDAISH PAR NARAAZGI KA IZHAAR AKHIR KYUN

Kuch log ladkiyon ko apne upar bozh samazte hain aur ladkiyon ko haqir wa jalil jaante hai, Yeh Islami taalim ke sarasar khilaf hai ladki ho ya ladka dono ka paida karne wala ALLAH T'AALA hai, ladki bhi ALLAH T'AALA ki azim neimat hai use khush dili se qubul karna chahiye,

Hadees E Pak mai hai
Hazrat Abdullah Ibne Abbas
“ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ”
Se Riwayat hai ki Huzur Saiyyad E Alam
ne irshad farmaya, Jise ladki ho phir woh use zinda dafn na kare, Na usko jalil samjhe aur Na ladke ko uspar ahmiyat de toh ALLAH T'AALA usko Jannat mai dakhil karega,(Abu Dawood)

Hazrat Anas Bin Malik “ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ”
Se riwayat hai ki Huzur Saiyyad E Alam
ne irshad farmaya, Jisne do ladkiyon ki parwarish ki yahan tak ki woh balig ho gayi toh mai aur woh qiyamat ke roz is tarah honge, phir Aap ne apni do ungliyon ko milakar bataya, (Muslim)

Ek riwayat mai hai ki Huzur Saiyyad E Alam
ne irshad farmate hain, Jisne apni ek ladki ya bahen ki parwarish ki aur use sharai adab sikhaya usse muhabbat se pesh aaya aur phir uski shadi kardi toh ALLAH T'AALA use zaroor jannat mai dakhila farmayega(Abu Dawood)

Ek Aur Riwayat Mai Hai Ki Huzur Saiyyad E Alam
ne irshad farmaya, Joh log Apni Ladkiyon ki Pyar wa Muhabbat se parwarish karenge toh bacchiyan unke liye roz e meshar jahannam se aad ban jayengi(Bukhari -, Tirmizi)

Ek Hadees Pak mai hai ki Huzur Saiyyad E Alam
ne irshad farmate hai, Jab tum apne bacchon mai koi cheez takseem karo toh ladkiyon se shuru karo kyun ke ladko ke muqabale ladkiyan walidain se jyada muhabbat karne wali hoti hai,

Huzur Saiyyad E Alam
ke in irshadaat se malum huwa ki apni ladkiyon se muhabbat karna aur unki acchi parwarish karke shaadi kar dena bade azr wa sawab ka kaam hai aur Huzur Saiyyad E Alam se qurb hasil karne ka zariya hai..

No comments:

Post a Comment