Saturday, 18 May 2013

Madina taiyaba me 1
mohalla 7 ghar ka tha. yeh
log bade miskeen aur garib
the. har ek ghar me noubat
faaka kasi ki thi. ek din
it'tefakan unme se ek ghar
me bakre ki siri tohfa aayi.
bawajud iss baat ke yeh
log khud bhuke aur faaka
se the lekin khayal yeh kiya
ki humara padosi humse
bhi zyada bhuka aur faake
se hai. bade sharam ki baat
hai ki padosi bukha rahe
aur hum khaye. Qayamat
me ALLAH ta'ala ko kya
moonh dikhayenge. usi
waqt bakre ki siri padosi ke
ghar bhej di. jab ye tohfa
dusre ghar pahuncha woh
bhi issi tarah ALLAH taras
the.padosi ke haq ka
khayal kar ke apne 2 waqt
ke faake ko badastur
qayam rakh kar woh tohfa
tisre ghar me bhej diya.
tisre gharwalo ne isi jazbe
ke maatehat woh tohfa
chouthe ghar me bhej diya.
unhone paanchve aur
unhone chat'the ghar bhej
diya. chat'the ghar walo ne
waisa hi saatve ghar bhej
diya. saathve ghar wale
wohi the jinhone sabse
pehle yeh siri dusre ke ghar
bheji thi. unn logo ne yeh
dekha ki yeh tohfa firta
firata humare hi paas aa
gaya toh samjhe ki ALLAH
ta'ala ne yeh hissa humare
hi naseeb me likha hai.
nachaar use pakaya aur use
thoda thoda sabko
takseem kar diya.
(Ruhul Bayaan : jild-4,
page-286)
Sahaba e Kiraam radiallahu
anhu ne khud ko bhuke
rakh kar bhi dusro ko
khilaya aur qurbani wa
humdardi ke woh
muzaahire kiye ki taarikh
ke auraak iss kishm ke
muzaahiro se khaali hai.
yeh hai woh paak log
jinhone apna hissa bhi
apne bhaiyo me qurbaan
kar diya.
SubhanAllah 

No comments:

Post a Comment