Saturday, 18 May 2013

DAJJAAL KYA HAI ??? MUST READ         

• Dajjaal Qayamat Se Qabal Zaahir Hoga. –
(Muslim Sharif)

• Dajjaal Iran K Shaher Kharaasaan Se Niklega.
(Ibne Maajah)

• Dajjaal Us Waqat Zaahir Hoga Jab Loog Us Se Bilkul Gaafil Ho Chukey Hoonge. -(Ahmad)

• Kisi Baat Par Gazabnaak Hona Dajjaal Ke Nikalney Ke Sabab Baneyga
(Muslim Sharif)

• Dajjal Bahar-e-Hind Ke Kisinaa Maloom Jazeerey Par Zangeeron Se Jakdaa Howa Hai. –
(Abu Dawood)

• Madeenay Ke Yahoodi Gharane Me Paidaa Hone Wala ‘Saaf’ Dajjaal Hai Jo Pehle Islaam Laaya Baad Me
Murtad Ho Gaya, Dajjaal Ki Kuniyat Ibni Sayaad Ya Ibni Saayid Hai. –
(Muslim Sharif)

• Dajjaal Ki Aik Aankh Kaani Aur Usk Sar Ke Baal Gongraaley Hoongey RangSorokh Aur Jism Bhaari Hoga. –
(Bukhari Sharif)

• Dajjaal Ki Dono Aankhon Ke
Darmiyaan ‘Kaafir’ likha Hoga. –(Bukhari Sharif)

• Dajjaal Ke Sar Pe Buhat Zyada Baal Honge. –
(Ibne Maajah)

• Dajjaal Ke Paas Jannat Aur
Jahannam Dono Hoonge Us Ki
Jahannam Jannat Hogi Aur Jannat Jahannam Hogi. – (Muslim Sharif)

• Dajjaal Ke Paas Paani Hoga Jo Asal Me Aag Hogi Aur Aag Hogi Jo Asal Me Meetha Paani Hooga. –
(Muslim Sharif)

• Dajjaal Ke Hukum Se Aasmaan Se Baarish Hogi, Zameen Se Ghaas AnaajWagairah Ugey Ga Jaanwar Pehle Se Zyada Dhood Dena Shooro Kar Dengey. –
(Muslim Sharif)

• Dajaal Ke Zaahir Hone Ke Baad Kisi Ka Imaan Lana Allah Ke Yahaan Qabool Nahi Hoga.
- (Muslim Sharif)

• Aadam (Allaihi.Sallam -) Se Le Kar Qayamat Tak Fitn-e-Dajjaal Se Bada Fitnaa Aur Koi Nahi Hoga. –
(Muslim Sharif)

• Jo bhi Shakhas Dajjaal Ka Zamana Paaye Wo Dajjaal Ke Saamne Na Jaaye. –
(Abu Dawood)

• Fitn-e-Dajjaal Se Dar Kar
MusalmaanPahaad -on Me Chup Jaayenge.
(MuslimSharif)

• Dajjaal Duniya Ki Har Aitkshaher Me Daakhil Hoga Srif Do Shahron Ke Makkah Mukarramah Aur MadeenatulMunaw -arah. – (Muslim Sharif)

• Fitn-e-Dajjaal 1 Saal 2 Mahh Aur 2 Hafta Hogi -
(Muslim Sharif)

• Iran Ke Aik Shaher ”Asfahaan” Se 70000 Yahoodi Dajjaal Ka Saath Dengey. – (Muslim Sharif)

• Motey Aur Chodey Chahrey Waali Buhat Se Aqwaam Dajjaal Par Imaan Ley Aayengi. – (Tirmizi Sharif)

• Kaafir Aur Munafiq bhi Dajjaal Ka Saath Denge. – (Muslim Sharif)

• Aasmanse Nazool Hone Ke Baad Eesaa (Allahi.Sallam) -Musalmaano Ke Saath
Mil Kar Dajjaal Ke Khilaaf Jihaad Karenge.Musalma -ano Ko Fatah Hogi aur Dajjaal Eesaa (Allaihi sallam) Ke Haathon Ladd” Ke Maqaampar Qatal Hoga. –
(Muslim Sharif)

• Dajjaal Se Jung Karne Ke Liye
Musalmaano Ka Padaaw Dimashaq (Damascus) Ke Kareeb ‘Gotah’ Ke Maqaam Par Hoga
(Abu Dawood)

• Eesaa (Allaihi.Sallam -) Dajjaal Ko Khud Apne Teer Se Qatal Karenge. –
(Muslim sharif)

• Daryaa-E-Urdun Par bhi Dajjaal Se Ahle Imaan Ke Mo’arqah Hoga. –
(Tibrani)

• Dajjaal Ke Khilaaf Jihaad Me Aik bhi Yahoodi Zindah Nahi Bach Paayega. –
(Muslim Sharif)

• Eesaa (Allaihi.Sallam -) Ke Saath Mil Kar Dajjaal Ke Khilaaf Jihaad Karne Wale
Musalmaano Ke Liye Jannat Ki
Bashaarat Hai. –
(Nasayee)

• Ummat-e-Mohamma -diyah Ki
AakhriJung Dajjaal Ke Khillaf Hogi Is Ke BaadJihaad Khatam Hojayga. –
(Abu Daawood)

• Madeenah Munawarah Ke Saat Raaston Par Allah Do Do Nigraan Farishtey Muqarar Farmaa Dega Jo Dajjaal Ko Madeenan Munawarh Me
Daakhil Nahi Hone Dengey. –
(BukhariSharif)

• Makkah Mukarramah Meb Dajjaal Daakil Nahi Ho Sakega. – (Muslim Sharif)

• Alhe Imaan Ko Allah Fitn-e-Dajjaal Se Mehfooz Rakhega. –
(Muslim Sharif)

• Allah Ke Fazal Se Anpad Ahle
Imaan bhi Dajjaal Ki Paishani Par Kaafir’ Lafaz Pad Kar Use Pehchaan Leynge. –
(Muslim Sharif)

• Jo Loog Dajjal Ko Pehchaan Kar Apney Imaan Par Qaayim Rahange UnPar Dajaal Ka Koi Fareb Nahi Chalega. –
(Muslim Sharif)

• Dajjaal Aik Momin Aadmi Ko Aar Se Cheer Kar Do Tukdey Kare Ga Aur Zinda Hone Ka Hukum Dega Aur Dobra Qatal Karna Chahey Ga Magr Allah Paak Us Momin Ko Peetal Ka
Bana Dega Aur Dajjaal Use Qatal Nahi Kar Paayega. – (Muslim Sharif)

• Fitne Dajjaal Se Bachne Wale
Loogon Ko Allah Duniya Me Hi Eesaa Allaihi sllam) Ki Zubani Buland Darjaat Ki Basharat Dega –
(Ibni Maajah)

• Fitn-e-Dajjaal Se Bach Neki Dua Ay Allah Me Teri Pannah Maangta Hoon Azaabi Qabar Se, Fitne Dajjaal Se Zindagi Aur Maut Ke Fitno Se,
Gunah Se Aur Karaz Se. –
(Bukhari,Muslim -Sharif )

• Surah Kahaf Ki Pehli Dus Aayaat Ko Yaad Kar Ne Wale Shakhas Ko bhi Allah Fitne Dajjal Se Mehfooz Rakhega. –
(Abu Dawood)

ALLAH Azzawajal Hum Sab Ko Dajjal Ke Fitne Se Bachaye 

No comments:

Post a Comment