Saturday, 18 May 2013


Huzaifa Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ko jab bhi koi aham (khas) muaamla ( ya haadsa) pesh aata to aap foran namaz mein mashgul ho jatey.
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1306-Hasan

Al Quran : Eh Imaan walo Sabar aur namaz se madad liya karo Beshaq Allah Sabr karney walon ke saath hai
Al-Baqara (2), verse 153

Al Quran : Sari Namazo ki hifazat kiya karo aur khas karkey darmiyani Namaz (Asar) ki aur Allah ke samney adab se khadey raha karo
Surah Al-Baqara (2), Verse 238

Abdullah bin umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jiski Asar ki namaz qaza ho gayee (yani nahi Parhi to wo aisa hai jaisey) uska ghar aur maal sab lut gaya.
Sahih Bukhari, Vol 1, 553

No comments:

Post a Comment