Saturday, 18 May 2013


kuch log kehte hai ki ::

kuch log kehte hai ki maine tou facebook ya tweeter par apni personnel pic kabhi upload na ki, phir bhi maine dekha ki mere facebook id par meri personnel tasweere upload ho gai!! phir sochte hai ki kisi ne meri id hack karli ya mera pc ya mobile ka IP hack kar liya.

magar aisa kuch nahi hota hai, asal me smart phone user ki aisi shikayat zyada hoti hai, wajah ye ki jab aap smart phone me facebook ya tweeter use karte hai tou log in ke waqt msg. milta hai jisme teen option rehte hai..

1. Sync ALL
2. yaad nahi
3. Don't Sync.

agar aap sync all par clik karte hai tou aap ke phone ke gallery data jisme video ya pic rakhi hoti hai woh aur yaha tak ki aap ka GPS location bhi facebook par show ho jata hai. jisme aap agar koi post ya comment update karo tou aap ka GPS location aap ki post ke niche show hoga.

isi smart phone ke istemal me na-samji hone se kai couple ke bich tallaq tak ki naubat aagai. hindustan me kuch mamle aise aaye jisme ek couple honeymoon manane kahi gaya tou waha ki yaado ko apne mobile me qaid kar liya. jisme kai sari personnel pic bhi thi. magar shohar ne jab facebook on kiya tou usne Don't Sync ke bajaye Sync ALL par click kar diya, aur dekhte hi dekhte saari personnel pic facebook par upload ho gai, aur kai pic to unke hi dosto ne save bhi karli. jab kisi khas dost ne unhe phone karke baat batai tab woh gabhra gaye. aur Biwi ne shohar par shak karke ki woh meri izzat nilam karna chahta tha is khayal se police station me apne hi shohar ke khilaf complain darj kara di. aur mamla cyber crime police ke paas pahucha tou sari haqiqat bahar aayi ki shohar ko pata hi na tha ki Sync All par click karne se ye sari nobat aapadegi. aur police ne dono ke alag hone se rok liya.

waise bhi apne mobile me ghar ki pic ko na hi rakhe tou zyada behtar hai, kyunki koi bhi dost jab mobile dekhna chahe tou use hum mana nahi kar sakte, aur dekhte hi dekhte woh pehle gallery ki taraf hi jata hai aur sari personnel pic ko dekh leta hai, aur agar koi saanp numa dost hai tou woh badnam karne ke irade se Bluetooth se sari pic apne mobile me bhi le sakta hai.

hamari islam maan-behne agar kisi mall me kapda kharidne jaye tou waha bhi hidden camera se sawdhan rahe, trial room me ka istemal karte hai tou us room ek baar apne mobile se call karke dekhe, agar call jati hai tou camera hone ke chances kam hai aur agar call nahi jati tou waha 99% hidden camera ho sakta hai. woh isliye ki camera ke fiber optic cable aap ke phone ke signal ko rok deta hai.

ALLAH hum musalmano ko har pal apni izzat o abru ki hifazat ki taufiq ata farmaye aur zalim aur bad nazar se hifazat farmaye.


No comments:

Post a Comment