Sunday, 9 June 2013

TIGHT LIBAS/ BURQA PAHENNE
WALI BEHNEN ZARA GHAUR KAREN....
Hazrat Abu Huraira Razi
Allahu anhu se Riwayat hai ke
Rasoolullah sallallahu alaihi
wasallam ne Irshad farmaya
ke
“JAHNNAMIYO KE 2 GIROH MAINE
NAHI DEKHE(MERE BAAD ZAAHIR
HONGE)
1. KUCH LOG AISE HONGE JO BAILON
KI DUMON KI TARAH KODEY LIYE
PHIRTE HONGE JINSE WO LOGON KO
(ZULMAN) MAARA KARENGE,
2.] Aisi Aurten hongi jo kapde
pehne hue bhi NANGI hongi
(ghair mard ko apni taraf)
MAAel karne wali hongi, (uski
taraf) Maael hone wali hogi,
unke SAR aise (phule hue) honge
jaise bade bade Oonto[camel] ke Jhukehue
KOHAAN hote hain,
YEAURTEN JANNAT ME DAAKHIL NA
HONGI AUR JANNAT KI KHUSHBOO
(BHI) NA SOONGHEGI HALAAN KE
JANNAT KI KHUSHBOO ITNI ITNI
DOOR KI MASAFAT SE MEHSOOS KI
JAATI HAI.”
[MISHKAT 306, MUSLIM]
NOTE:- uryaan AUR Chust(tight)
LIBAAS PAHENNE WALI AURTEN Iss
HADEES ME WARID SHUDAH WAEED(yani saza
dene wali dhamki ya faramaan)
PAR GHAUR KAREN.
AaJ KAL BURQA HIJAAB (yani sattar poshi)
NAHI
ISS HADEES ME WAEED KA MISDAAQ
(misaal) HOGAYI KE GHAIR KO MAEL (aurte
namehram ko apni taraf kheenchne k liye aise
kapde aur naqab pehnti hai jis se jim aur uski
banawat jhalakti hai) KARNE
KE LIYE ISTEMAL HO RAHA HAI,
ISLAMI HIJAAB ISTEMAL KAREN
BURQA SEEDHA SAADHA AUR DHEELA
DHALA ISTEMAL KAREN.
AKHIRAT KI FIKR KAREN DUNYA
AAKHIRAT KE MUQABLE AISI HI HAI
JAISE SAMADAR KE MUQABLE ME SUI
(NEEDLE) KE NAAKE ME PANI KA
KHATRA.
ALLAH TA’ALA HAME AKHIRAT KI
FIKR ATA FARMAYE AUR BEHAYAI
SE BACHAYE.
AMEEN

No comments:

Post a Comment