Monday, 24 June 2013

Ek naw-jawan ne ek buzug ki
khidmat me hazir ho kar arz kiya
ki aap farmate h- k bad-nazri se
parhez karo, Lekin bhazar me jate
hue, mujhse apni nazar ki hifazat
nahi hoti, naw-jawan hoon aur
bazaar me be-parda,h ladki ko
dekh kar nazar un ki taraf uth hi
jati hai, kya karo,n … ???”
Buzurgo ne kaha ke mai ye raz
samjha dunga paihly mera ek
kaam karo- ye dudh ka pyala
“fala,n” buzurg ko de kar aao (jo
bazaar ke dusry siry par rehte hai,
lekin ek shart hai ke pyaly se dudh
bilkul na giry-
Naw-jawan ne kaha ke bilkul bhi
nahi girega,
buzurg ne kaha, achcha mai ek
mazboot sa aadmi tumhare sath
kar deta hoon, agar dudh ka ek
bhi qatra gira to who wahi,n
bazaar me tumhe 2 juty lagaega-
naw-jawan ne kaha k manzoor h,
buzurg ne ek pyala dudh ka bhar
ke naw-jawan ko de diya aurek
aadmi sath kar diya-
ab naw-jawan ne badi ehtiyatse
bagair dudh ko girae, who pyala
bazaar ke dusre kone par rehne
wale buzurg ko pahucha diya, aur
khushi-khushi wapas aaya,
aur kaha ke hazrat maine who
pyala pahucha diya ab aap
mujhe nazar ki hifazat ka tareeqa
bataein-
buzurg ne pucha dudh gira to
nahi ?
us ne kaha ki nahi bikul nahi-
buzurg ne pucha- achcha ye
batao k jate hue kitni shaqlo ko
deka ?
naw-jawan bola ek bhi nahi-
pucha kyon ?
to us ne jawab diya- k mera sara
dhiyan pyaly ki taraf tha, k kahi,n
dudh na gir jae kyonki agar dudh
girta to mujhe 2 jute lagte, aur
bazaar me meri ruswai ho jati,
isiliye mera kisi taraf dhyan nahi
gaya-
buzurg ne kaha k…
“bas ALLAH walo ka yahi haalhota
hai k woh har wqt apne dil k pyaly
par nigah rakhte h, aur usy
chalakne nahi dete- kyonki unhein
pata hota h, k agar gunha ki
wajha se pyala chalak gaya “nazar
bahek gai to qiyamat wale dinsab
k samne ruswai hogi-
ALLAH ka khauf aur roz-e-qiyamat
ruswai ka andesha ho to kabhi
bhi bad-nazri na hogi…

No comments:

Post a Comment