Wednesday, 26 June 2013


Ijazat Nahi

Allah ke Rasul Sallallaho alaiye wa sallam ne maut ki yaad rakhne ki takid farmayi hai aur dukh-mushibat se tang aa kar maut ki dua mangne se mana farmaya hai. Yahi islam ka hukum hai.

Allah ke rasul farmate hai – Jab shine mai islam wa imaan ka noor  sama janat hai to fir muslim ka shina khushada (lamba-chawda) ho jata hai aur waha apne shine mai islami talim ke hazaro khajano ko samet leta hai. Yah basharat sunkar ek sahaba ne arz kiya ya RasulAllah! Iska pata kaise chale ka islam ka noor shine mai sama gaya? Aapne farmaya – Jo admi duniya aur uski ranginiyon se alag-dhalag rahene lage, maut ko ane se pahele uski tayyari mai lag jaye, apni akhirat banane mai lag jaye to samjh lo ki uska shina islam ke noor se rawshan ho gaya.
Agar tum duniya ke hangame mai tum ho kar bhi apni maut ko yaad rakhne ka mauka na pate ho to qabarishtaan jaya karo, murdu ko nahalaya karo. Isse to tumhe jarur maut ki yaad ayegi. Maut ki yahi yaad tumhe bade-bade gunaho aur tabahi se bacha sakti hai.
Issi maksad ke liye ek aur hadis mai hai – bimaro ki khariyat malum karne jaya karo, janazo mai shirkat kiya karo, isse bhi tumhe maut ki yaad ayegi aur tum akhirat ki tayyari karne ki sochne lagoge.
Allah ke Rasul ne hame hamesha apni maut ki yaad rakhne ki takid di hai taki ham apne anzam se gafil na hone paye. Admi ko jab is baat ka khayal rahega ki ek din hame bhi apna sab kuch chhod kar jana padega aur wah hame apne zindagi ke kaamo ka hisab dena padega, to yahi khayal insaan ko har tarah ki turayi se bacha lega. Admi ko jab apne rab ke darbar mai pesh hone ka khayal rahega, uske azab se darega to fir wo gunah se bachta rahega aur jayeda se jayeda ibadat aur neki karne apni akhirat ko behetar banane ki koshish mai laga rahega. Goya maut ki yaad momin ki kamiyabi ki paheli manzil hai. Is liye Allah wa Rasul ne hame maut ko yaad rakhne ki takid farmayi hai. Maut ek nayi zindagi ka paigam hai. Maut ki tayyari karne ka hukum hai lekin maut ki dua mangne ki izazat nahi kyonki zindagi Allah ki ek nemat hai. Dukh-musibat se ghabra kar maut ki dua mangna nazayaz hai.
Haan agar ayesi halat ho jaye to yo dua mage – YA ALLAH! JAB TAK ZINDAGI MERE LIYE BEHETAR HO US WAQT TAK MUJHE ZINDA RAKH AUR JAB MAUT MERE LIYE BEHETAR HO TO MAUT ATA FARMA.

No comments:

Post a Comment