Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Jo Namaz Se So Jaaye Ya Bhool Jaye to Jab Yaad Aaye Padh Le Ke Wohi Uska Waqt Hai.
[ SAHIH MUSLIM J:1 S:241 ]
Fakaha E Kiram Farmate hai:
Sote Me Ya Bhoole Se Namaz Kaza Ho Gai To Uski Kazaa Padhni Farz Hai, Albatta KazaKa Gunah Is Par Nahi magar Bedar Hone Par Aur Yaad Aane Par Agar Waqte Makrooh Na Ho To Usi Waqt Padh Le Takhir Makrooh Hai.
[ Aalamgiri Jild:1 Safah:124 ]
Jandar Ki taswir Wala Libas Pahan Kar NAMAZ padhna Makrooh E Tahrimi hai. NAMAZ ke Ilawa Bhi Aisa Kapra Pahenna Jaiz Nahi.
[ DURRE MUKHTAR RADDUL MOHTAR JILD:2 SAFA:502 ]
No comments:
Post a Comment