Hazrat Abu Saeed (RaziALLAHU Anhu) farmate hain ki ek martaba RasulALLAH (Sal’lal’lahu Alaihe Wasallam) Namaaz k liye masjid main tashreef laaye to Aap (Sal’lal’lahu Alaihe Wasallam) dekha ki ba’az logo k daant hansi ki wajah se khil rahe the, RasulALLAH (Sal’lal’lahu Alaihe Wasallam) ne irshaad farmaya : Agar tum lazzaton ko todne waali chiz maut ko kasrat se yaad kiya karo to tumhari yeh haalat na ho, Jo main dekh raha hoon, Lihaaza Lazzaten khatm karne wali chiz maut ko kasrat se yaad kiya karo, Kyunki KABR par koi din aisa nahin guzarta jisme weh ye aawaaz na deti ho ki “Main pardes ka ghar hoon, Main tanhaayi ka ghar hoon, Main mitti ka ghar hoon, Main keedo ka ghar hoon.”
Jab MOMIN banda dafan kiya jata hai to kabr us se kehti hai “Tumhara aana mubarak ho, Bahut acha kiya jo tum aa gaye, Jitne log mere meri peeth par chalte the Mujhe tum un sab main zyada pasand the, Aaj jab tum mere supurd kiye gaye ho to mere behtareen sulook ko bhi dekhoge.
Iske baad KABR jahan tak murde ki nazar pahunch sake wahan tak kushada ho jati hai aur iske liye ek darwaza jannat ki taraf khol diya jata hai.
Aur jab koi Gunahgaar ya Kaafir KABR main rakha jata hai to KABR kehti hai “Tera aana Na-mubarak hai, Bahut bura kiya jo tu aaya, Jitne log meri peeth par chalte the Un sab main tujh hi se mujhe zyada nafrat thi, Aaj jab tu mere havaale hua aur Mere paas aaya hai to mere bure sulook ko bhi dekh lega,
Iske baad KABR use is tarah dabaati hai ki pasliyaan apas main ek dusre main ghus jaati hain.
RasulALLAH (Sal’lal’lahu Alaihe Wasallam) ne ek haath ki ungliyaan dusre haath main daalkar bataya ki is tarah ek jaanib ki pasliyaan dusri jaanib main ghus jaati hain aur ALLAH TA ALA us par sattar (70) azdahe aise musallat kar dete hain ki agar ek bhi unme se zameen par funkaar maare to uske (zahreele) asar se qayaamat tak zameen par ghaas ugna band ho jaaye, Weh usko qayaamat tak kaat’te aur daste rahenge. Nabi Kareem RasulALLAH (Sal’lal’lahu Alaihe Wasallam) ne irshaad farmaya : KABR jannat ka ek baag hai ya jahannam ka ek garha hai.{Tirmizi : 2460}
No comments:
Post a Comment