Wednesday, 26 June 2013


Ayehesase Mohabbat
Mohabbat ek ayesa paak wa ruhani zasba hai jo har inssan ke dil mai dharakta raheta hai. Ek waqt yah tha jab bachchhey shirf maa ki mohabbat pahechante they. Lekin aaj ki nayi tahezeb ki meherbani se bachchey bhi mohabbat 
ke azeeb- azeeb andaz samjhne lage hai.
Mohabbat ka ayehesas umar ke badne ke sath-sath badhta raheta hai isliye jaruri hai ki bachchey ki tarbiyat ke dawran is baat ka khayal rakhkha jayed ki un ki mohabbat ka zasba wa ayehesas kisi galat or na jane paye taki unka kirdar achcha rahe aur wah kawm mai izzat ki nazro se dekhey jaye. Mohabbat ek ayesi chiz hai jiske liye bachchey, budhey, mard-aurat bahut kuch kar baithte hai. Mohabbat ka sahi zasba wa ayehesas insaan ko duniya wa akhirat ki kamiyabiyan ata karta hai. Yaha mohabbat ka hi to takaza tha ki 313 nihatthey musalman hazaro ke muqabale ke liye bhukhey-piyase jaan hatheyli par rakh kar badar ke maidan par aa pahuchey they aur apne sachchey zasbe ki badawlat kamiyabi hasil ki thi. Unki mohabbat ke natize mai chalo taraf islam ki dhak baith gayi thi.
Mohabbat ki buniyat par hi to hazrat abu bakar siddiq ne meraz ke safar ki tasdik kar ke SIDDIQ ka lakab hashil kiya tha. Yaha mohabbat ka hi zasba thha ki hazrat usman bin affaan Allah ki rah mai malo-dawlat kurban kar ke USMAN-E-GANI ban gaye. Mohabbat ka hi karishma tha ki insaaf ki talwar banker hazrat umar bin khattab FARUQU-E-AZAM ban gaye. Yah mohabbat wa akida ka hi to ayehesas tha ki jange uhud mai pyare nabi ke Mubarak daat tutne ki khabar son kar Hazrat awas karni ne apne sare daat tod dale. Mohabbat ka hi karishma tha jisne gulam Bilal ko AKA BILAL bana diya. Apne buzurgo ke rawshan kirdar wo amal se sabak hashil karte huwe hame apne is zasbe wa ayehesas ko sahi samt le jane ki fikar wa koshish karni chahiye taki dono jahan mai surkhuru ho sake.
Mohabbat ki buniyat par agar nafrat ki diwangi todi ja sakti hai to yakin rakhkheye ki issi mohabbat se kufr ke adheyre bhi dur ho sakte hai. Hamre guzurgo ki zindagi iss hakikat ka jeeta jagta namuna hai jisne lakho ke dil ki duniya badal dali. Aye, ham bhi issi payega-e-mohabbat ko aaam kare.

No comments:

Post a Comment