Friday, 2 August 2013

Ek inspiring story:
Main raste me hi tha jab maghrib ki azaan hui. Aaj job se aate waqt kafi der ho chuki thi.

Main jaise hi ghar pahocha maghrib ka waqt lagbhag khatm hi ho chuka tha. Maine jaldi jaldi wuzu banaya aur waise hi geele haath pair le kar ja namaz par neeyat bandh ke khada ho gaya.

Mere chehre se pani tapak raha tha. Main baar baar use aasteen se ponchhta aur namaaz chalu rakhta.

Namaaz ke dauran hi mujhe dhyaan aaya ki main ammi ki dawaiyan lana bhool gaya hoon. Aaj office me dher sara kaam tha khana khane ka bhi mauka nahi mila.

Main bahut thak chuka tha sajde me jaate hi maine namaaz me poora dhyan laane ki koshish ki.

Achanak agle hi pal main ek aise maidan me tha jahan bahut sarey log jama they. Sabke haath me ek ek kitab thi.

Mujhe kuchh samajh nahi aa raha tha ki kya ho raha hai tabhi kisi ne aakar mere haath me bhi ek kitab de di jis par mera naam likha hua tha.

Maine kholkar dekha to usme mere achchhe aur bure aamal likhe hue they. Mera dil baith gaya tha. Maine socha ya Allah kya main mar gaya hoon.

Maine sabki taraf nazar daudai sab ke sab ek line me apni kitab jama kar rahe they. Main samajh gaya ki main mar chuka hoon aur ab mera bhi in sab ki tarah hisab kitab hona hai.

Maine bhi apni kitab jama kar di. Aur intezar karne laga. Jab sab logon ki kitabein jama ho gayi to waqt aaya faisle ka. Mujhe apne kaano par yakeen nahi hua jab sabse pehla naam mera pukara gaya.

Mera dil zor zor se dhadakne laga. Maine socha na jane aaj mera kya hoga. Kya mera anjaam hoga. Tabhi aawaz aayi jahannum.

Mujhe bharosa nahin tha ki mere hissey me jahannum aayega. Main rone laga. Mere gaalon se aansoo behne lagey.

Tabhi do khatarnak dikhne wale saaye aaye aur mujhe ghasitkar le jane lage. Main chillata raha'bachao, mujhe koi bachao'. Lekin sab mujhe sehmi hui nazar se dekh rahe they koi bachane ke liye aage nahi aaya.

Maine chilla kar kaha'maine kabhi kuchh galat nahi kiya, kabhi jhoot nahi bola, kisi ki chugli nahi ki, kisi ki geebat nahi ki, sood nahi khaya. Fir mujhe kyon jehannum me fek rahe ho'

Koi kuchh nahi bola sirf mujhe kheechte rahe. Ab main jehannum ki aag mehsoos kar sakta that. Uska muhana thodi hi door par tha. Aur usme se aisi aawaz aa rahi hi jaise koi janwar rassi todkar mujh par hamla karne ki koshish kar raha ho. Main bahu darr gaya. Aur zor zor se rone laga.

Tabhi mujhe yaad aaya. Namaaz.

Main chillane laga'meri namaz. Meri namaz kahan hai'

Jehannum ka muhana samne hi tha. Duniya me to main zara si garmi bardasht nahi karta tha ya Alaah is garmi ko kaise bardasht kaunga.

Ab me jehannum ke darwaze pe tha zor zor se ro raha tha. Apni namaz ko aawaz de raha tha lekin koi sunne wala nahi tha. Main chillaya lekin koi farq nahi padha. Ek ssye ne mujhe dhakka de diya aur me jehannum ki tapti jlhui aag me girne laga. Mujhe laga yehi mera hashr hai.

Itne me ek haath ne mujhe pakad liya. Mqine sir utha kar dekha to muhane par ek buzurg khade they. Safed dadhi aur nurani chehra lekar. Mera haath thame hue muskura rahe they. Neeche dozakh ki aag mujhe jhulsa dene ke liye mqchal rahi thi lekin un buzurg ka hath lagte hi uski tapan thandak me badal gayi.

Maine unse poocha aap kaun hain. Unhone mujhe bahar kheech kar kaha-tumhari namaz. Mujhe bahut gussa aaya aur maine kaha aap itni der se kyon aaye? Mujje dozakh me dhakka de.diya gaya tha aap thoda aur der se aate to main to jehannumi ho huka tha.

Buzurg ne muskurate hue kaha-tum bhi to mujhe ekdum aakhiri time par padha karte they.

Tabhi meri neend khuli. Koi mujhe zor zor se hila.raha that. Maine dekha ammiji mere paas khadi hain aur bol rahi hain -kya hua namaz namaz kyon chilla raha hai.

Meri khushi ka thikana nahi raha. Main zinda tha. Maine ammiji ko galey se laga liya aur kaha-aaj ke baad main kabhi namaz me deri nahi karunga.

Dosto namaz padho is se pehle ki aap ki namaz padha di jaye.

Aur haan time par.
•• Plz share kare or is page pr first time aane wale hazrat page open kar ke'like'kare. JazakAllah khair.

No comments:

Post a Comment