Saturday, 20 April 2013


"FAJAR ki Namaz chhodne se Chehre ki Raunak khatam ho jaati hai
.
ZOHAR ki Namaz chhodne se Rizq me Barqat khatam ho jaati hai
.
ASAR ki Namaz chhodne se Tandrusti khatam ho jaati hai
.
MAGREEB ki Namaz chhodne se Aulaad Naa-Farmaan ho jaati hai
.
ISHA ki Namaz chhodne se Neend ki Raahat khatam ho jaati hai."
.
"..Namaz me hi Duniya aur Aakhirat ki Kaamiyaabi hai.."
>>ISLIYE NAMAAZ PADHIYE,
IS SE PEHLE KI TUMHARI NAMAAZ PADHI JAAYE<<




"LAFZ"Aisi Cheez Hai,
Jiski Wajah Se Insaan Ya To,
"Dil Mein Utar Jata Hai"
...
Ya To Phir
"Dil Se Utar Jata Hai."
Koshish Karo KE Zindagi Ka Har Lamha Kisi K Saath Achche Se Guzre Kyu Ki
Insaan Zinda Nahi Rehta Per Achchi Yaadein Zinda Rehti Hai
Kisi Chiz Ko Qaid Kar Ke Khush Nahi Hona Chahiye Magar
Zubaan Ko Qaid Kar Ke Khush Hona Chahiye Isliye ke
Ye Jahannam Tak Pahuncha Sakti Hai



HADIS:

NABI e Paak Salallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke
Meri Ummat Me Jab 14 Khaslatain«Aada t»
Paida Hongi To
Un Par Azaab Aaye Ga

1- Amanat Me Khayanat

2- Zakat Jurmana Mehsoos Ho

3- Shohar Biwi Ka Ataat Guzar Ho

4- Beta Maan Baap Ka Nafarman Ho

5- Aadmi Doston Ke Sath Bhalayi or Baap Par Zulam Kare

6- Qoam Ka Budtareen Shakhs Us Ka Sarbarah«Sardaa r» Ban Jaye

7- Aadmi Ki Izzat Us Ki Burayi Ke Dar Se Ki Jaye

8- Nasha Aawar Cheezain Khulay Aam Istamaal Ho

9- Mard Raishmi Labaas Pehnay

10- Aalaat e Mosiqi«Music» Ko Ikhtiyar Kiya Jane Lage

11- Ruqs-o-Suroor«N aach - Gaana» Ki Mehfilain Aam Ho

12- Log Apne Buzurgon Par Laan Taan Karain

13- Mard Aurat Jaisa Huliya«Libaas» Ikhtiyar Kare

14- Bud Dianati, Gheebat, Chughli, Bukhaili, Zana, Fahashi Aam Ho Jaye



Iss Waqt Log Har Waqt Azaab-E-Illahi Ke Muntazir Rahain
Chahe Wo
Surkh Aandhi Ki Surat Me Ho
Ya Holnaak Zal Zale Ki Surat Me
Ref
Tirmizi Shareef
Allah Hame Apni Hifazat Me Rakkhe
AAMIN SUMMA AAMIN —




Hadeese Nabawi :
Hazrat Umar Farooq radiallahu ta’ala anhu se riwayat hai ki
Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wasallam se daryaft kiya gaya ‘Sab se Aqlmand kaun hai?’
Aap ne farmaya ‘Aqlmand wo hai jo maut ko sab se zyada yaad rakhe,
Aur maut ke baad ke liye sab se achhi tayyari kare.’

(Ibne Maajah)

No comments:

Post a Comment