assalamu alaikum
muaziz bhai aur piyare dosto
hume allah tabarak watala ka shukar ada karna chahiye ke usne hume musalman paida kiya
aur usse bhi ziyada is baat par shukar ada karna chahiye ke usne hume hazrate mohammed mustafa salallahi alaihi wasallam ki umat me paida kiya
ye duniya humare liye bus ek qaid khana hai aur hum is duniya ke qaidi
phirbhi hum is baat ko bhol jate hai ke hume duniya me kis maqsad se bheja gaya kis liye bheja gaya kyun bheja gaya
allah ne hume sirf aur sirf apne ibadat ke liye bheja hai
aur ye duniya banane ka maqsad hi isiliye hai ke hum apne parwardigar par kamil iman rakhe
waqt kisi ke liye nahi rukta
jab adam alaihi wasalaam ko unki galti par duniya me behja gaya to aap alaihi wasalaam ne kayi bar allah se maafi mangi ye silsila chalta raha aur ek din allah ne aap alaihi wasalaam ko maaf farmaya
aur unse pucha ke aye adam tumhe kaise pata chala ke mohammed mera nabi aur mera aziz hai
to aap alaihi wasalaam ne farmaya ke aye allah jab tu mujh me roh phonk raha tha to mai ne tere arsh par la ilaaha illallah mohammadur rasul lullah dekha mujhe yakeen huwa ke mohammed tera sabse ziyada mehboob hai
dosto mujhe is baat par afsoos hota hai ke hum unki umat me se hokar is tarha bhatke hai ke hum sirf naam ke musalman hokar rehgaye hai
humne jane anjane kitni namaze tark ki
bakya agli bar inshallah
No comments:
Post a Comment