Tuesday, 23 July 2013

Hazrat Abu Hurairah rz.a. se riwayat hai ke
Hazrat Muhammad Sallalahu Alaihi Wasallam
ne farmaya! Momin ki misaal paudey(plant ) ki
pehli nikli hui hari shaakh jaisi hai ke jab bhi
hawaa chalti hai usey jhukaa deti hai phir wo
seedha ho ker museebat bardasht kerny
mein kamyaab ho jata hai aur baddkaar ki
misaal sanobar ke darakht jaisi hai ke sakht
hota hai aur seedha khada rehta hai yahan
tak ke Allah jab chahta hai usey ukhaad ker
phaink deta hai. [5644: Jild 7; Sahih Bukhari
Shareef]
Bismillah hirrahman nirraheem
ALLAH Farmata Hai: Tauba Aur Astaghfar Ki Fazilat
Aay ibne Adam..! Jab
tak tu Mujhe Pukarta rahay ga aur Mujh say
Maghfirat ki umeed rakhay ga to Main
Tujhe Muaf karta Rahon ga, Aay Ibne Adam.! Agar Teray Gunah Asman tak bhi
Pohanch jain Phir bhi Agar tu Mujh say
Maghfirat Mangay ga to Main Tujhe Muaf
kar don ga Aur Mujhe Koi Parwah nahi.
(Tirmazi, H#3674, Kitab ud Dawat, Baab:
Tauba Aur Astaghfar ki Fazilat aur ALLAH ki Apni Bandon par Rehmat)
BismILLAH hir Rahman nir Raheem!
"Jis jannat ka parhezgaro'n se waada kiya
gaya hai wo aisi hai k us mein nehar'ain
behti hain, us k phal hamesha atay rehty
hain aur us ka saaya bhi hamesha k liye
qaa'im rehta hai, Ye parhezgaro'n ka aakhri
sila hai aur kafir'on ka aakhri sila dozakh
hai."
(Sura-e-ra'ad, Ayat# 35)
"Galti Har insaan se Hoti Hai.
Lekin BEHTARIN Galti karnewala wo Shakhs
Hai jo Galti ke Baad Tuba kare."
[Ibne-majah- Hadees no-4251]
Allama Iqbal"
Goongi Ho Gai Aaj kuch Zuban kehte kehte,
Hichkicha Gaya Me khud ko Musalman kehte
kehte,
Ye baat Nahi k Mujko Rab par Yaqeen Nahi,
Bas dar gaya khud ko sahib-e-imaan kehte
kehte,
Tofeeq Na hui Mujhe ek waqt ki Namaz ki,
Aur Chup Ho Gaya Moazzin Azaan kehte kehte,
Kisi kafir Ne jo pocha k Ye kya Hai Maheena,
Sharm se pani Hath se gir gaya Ramazan
kehte
kehte,
Meri Almari me Gard se Ati kitab ka Jo
poochha,
Mai Gaddh gaya Zameen me Quran kehte
kehte,
Ye sun k chupki saadh Li "IQBAL" Us Ne,
Yun laga jaise ruk gaya wo mujhe Haiwaan
kehte
kehte..
"A silent msg for all Muslims"
Hazrat abu hurairah aur hazrat abi sayeed al qudri r.a se 
riwayat hai : 


Rasool ullah s.a.w.s ne farmaya ke teen masajid ke alawah 

kisi masjid ki taraf saaman-e-safar na baandho, masjid-e-

haraam, masjid-e-aqsa aur meri masjid (yaani masjid-e-

nabawi). 


Bukhaari
INSAN KI JIMMEDARI

Insan ki sabse badi jimmedari ye hai ki wo is baatka ilm hasil kare ki konse kaam allah ko pasand hai aur konse kaam allah ko napasand hai.

Aaj hamare mua'asre me bigad paida hone ka sabse badaa sabab ye hai ki jo kaam samaaj me ho rahe hai usse dekh kar insan bhi usse karne lagta hai, par wo ye nahi dekhta ki kya allah ne is kaam ko karne ka hukm diya, kya aap s.a.v ne is kaam ko kiya ya karne ka hukm diya.

Lekin afsos ki hamaare paas ek aasmani kitab hone aur aap s.a.v ki saaf aur sahi hadise hone ke bawajud bhi ummate muhammadiya nato quran ko dekhti hai aur nahi sahi hadis ko dekhti hai ki usme kya amal jarne ka hukm diya gayaa hai balki wo ye dekhti hai ki samaaj me kya kaam ho rahe hai aur allah aur uske rasul s.a.v ko chod kar kisi peswa, imam, molvi ne kya kaam karne ko kahaa hai.

Aaj tarah tarah ki shirk aur biddte samaaj me ijad hai lekin insan iska ilm hasil karne ke badle ussi amal ko anjam de raha hai jisko wo samaaj aur mua'asre me dekhta hai fir wo chahe shirk ho ya biddat.

Allah hame shirk aur biddat se bachae aur din ka ilm hasil karne ki taufik de aamin.
BismILLAH hir Rahman nir Raheem!
"Ae Rasool-e-Barhaq (S.A.W)! Aap mery
bando'n ko farma dejiye k namaz'ain parhte
raha karain aur jo kuch hum ne de rakha hai
us mein se chori chupay ya ailaaniya kharch
karty raha karain, us din k aanay se pehly jab
koi soda na ho saky ga, na koi dosti hi kaam
aa sakay gi."
(Surah-Ibrahim: Ayat#31)
Tashahud mein ungli ka uthana rasool -e pak(S.A.W) ki badi ba barakat or azmath waali sunnat hai
.
Hazrath Abn Umar raziallahu tala anha karte hai k rashool -e pak(S.A.W) jab namaaz k liye qaide mein baithte to apne dono haath apne dono ghutnao pr rakhte or apni dahini ungli jo angothe k nazdeek hai utha lete pus is k saath doa maangte.
Hazrath Wail Bin Hajr razi allahhu anha farmaate hai k Rasool Allah sallahu alay wo sallam ne ungli uthai or isse hilaate the.
[Sahi Muslim 580]
Ya Allah, Forgive us for our disrespect towards our families,
elders, siblings and so on.
Ya Allah, Forgive us for any backbiting we have been accused of, whether we did it consciously or unconsciously.
Ya Allah, Forgive every single Muslim and Muslimah, dead or alive,
I do du’a that you forgive them for all their sins.
Aameen Ya Rabbal Aalameen...!
Dear Sisters ,
●Akser se ye dekha gaya hai
k Facebook par khwateen
apni BEPARDAH pictures daal
rahi hain cahe wo profile
image ho ya phir wall photos
●Apni bepardah pictures ko
is tarha share krk na sirf aap
khud gunahgar horahi hai
balki doosron ko bhi fitnah
mein daal rahi hain
●Facebook par aapki ye
bepardah pics pata nahi kitne
ghyr mehram dekh kar fitnah
mein mubtela horahe honge !
●Mana k kuch bahno ki list
mein sirf unke rishtedar aur
female frndz hai phir bhi un
frndz k baap , bhai , shohar
aur betey bhi tou dekh rahe
hai ye sari pics?
Kiya aap janti hai ??
♥♥Baligh hone k baad jo
aurat pardah nahi kerti uski
ibadat qabool nahi hoti
(Sunan Abu-Dawud.
064;Tirmidhi, 377)♥♥
●Kiya hijaab facebook par
laazim nahi?
Assalam o alaikum wa rahmath ullahi wa
barkatuhu....
Bismillah Hir Rahman Nir Rahim
Hadith: Jab Allah kisi shaksh ke saath bhalaii
ka irada farmata hai to wo usey deen mein
basheerat (yani samajh) ata farma deta hai
Abu Hurairah Radi-Allahu-Anh u se rivayat hai
ki Rasoollallah Sallallhu-Alaih i-Wasallam ne
farmaya jab Allah kisi shaksh ke saath bhalaii
ka irada farmata hai to wo usey deen mein
basheerat (yani samajh) ata farma deta hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 220 (Sahih)
It was narrated that Abu Hurairah may Allah
be pleased with him said: "The Messenger of
Allah Peace be upon him said: When Allah
wills good for a person, He causes him to
understand the religion.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 220 ( Sahih)
ﺍﻟﻠﻬﻢ ﻓﻘﻬﻨﻲ ﻓﻲ ﺩﻳﻨﻲ
O Allah! Grant me understanding of Deen.
Ya Allah mujhe deen ki samajh ata farma.
Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Moving the finger during Tashahhud 

It was narrated that Waa’il ibn Hajar said: I said: I will certainly watch how the Messenger of Allaah (peace and blessings of Allaah be upon him) prays. So I watched him and he stood up and said takbeer (“Allaahu akbar”), and raised his hands until they were level with his ears. Then he placed his right hand on his left hand, wrist and lower forearm. When he wanted to bow, he raised his hands likewise, and put his hands on his knees, and when he raised his head he raised his hands likewise. Then he prostrated and put his hands level with his ears, then he sat with his left foot tucked underneath him and put his left hand on his left thigh and knee, and he put the edge of his right elbow on his right thigh. Then he held two of his fingers and made a circle, then he raised his forefinger and moved it, making du’aa’ with it.

Narrated by al-Nasaa’i, 889; classed as saheeh by Ibn Khuzaymah, 1/354; Ibn Maajah, 5/170; classed as saheeh by al-Albaani in Irwa’ al-Ghaleel, 367.

Shaykh Ibn ‘Uthaymeen quoted this hadeeth – “moving it, making du’aa’ with it” – as evidence that moving the forefinger during the tashahhud should be done with every phrase of the du’aa’. He said in al-Sharh al-Mumti’:

The Sunnah indicates that he should point with it when making du’aa’, because the wording of the hadeeth is “moving it, making du’aa’ with it”. So every time you make du’aa’, move your finger thus indicating the exalted nature of the One to Whom you are addressing your du’aa’s. So we say:

“Al-salaamu ‘alayka ayyuha’l-Nabiyyu (peace be upon you, O Prophet)” – you should point your finger because this salaam is a kind of du’aa’. “Al-salaamu ‘alayna (peace be upon us)” – you should point your finger. “Allaahumma salli ‘ala Muhammad (O Allaah, send blessings upon Muhammad)” – you should point your finger. “Allaahumma baarik ‘ala Muhammad) O Allaah, send blessings upon Muhammad)” – you should point your finger. ‘A’oodhu Billaahi min ‘adhaab jahannam (I seek refuge with Allaah from the torment of Hell)” – you should point your finger. “Wa min ‘adhaab al-qabr (and from the torment of the grave)” – you should point your finger. “Wa min fitnat il-mahya wa’l-mamaat (and from the trials of life and death)” – you should point your finger. “Wa min fitnat il-maseeh il-dajjaal (and from the tribulation of the Dajjaal) – you should point your finger. Every time you make du’aa’ you should point your finger, indicating the greatness of the One to Whom you are making du’aa’. This is closer to the Sunnah.
✿✿Assalamualaik um Warahmatullahi
Wabarakatuhu✿✿
Waisey to ye Post Brothers & Sisters dono hi k
liye ek Qabile sonch Mudda hai.....!
Per qaas kar Kwateen ki tawajja per ye baat
lana behadh zarori hai k Bazaar Allah
Subhanawataala ko intehayi napasand
hai .Qaasker Ramzan k mahine mein jabki
humara ziyada tar waqt ibadat mein guzarna
cahiye akser Kwateen ka ziyada tar waqt
Bazaar mein qareed wa faroqat mein guzar
jata hai ya phir Gharon mein lambey lambey
Pakwaan karne mein sara waqt Zaaya hojata
hai .
Piyari Bahno! zara ye sonchiye k itni
Shopping , outing aur Lambey chawdey
Pakwaan kar k Ramzan k Pak aur Barakaton
wale mahine mein Hum hasil kiya karrahe
hai ?
◄Sirf aur sirf Humara Hi qeemti waqt Zaaya ...!!
◄Jo Waqt qaalis ibadat mein guzarna cahiye
wo waqt Bazaaron mein "'Ghair Mehramon" k
sath Bhaao Taao mein guzar rahe
hain .Astaghfirullah !
◄Na Hijab ki pabandi na Paisey ka dard aur Na
apney Mehram ki ibadat ki parwa ...!!
◄Kiya kabhi Ap ne ye soncha hai apke Bhai ,
Baap , Bete aur Shohar ko jo waqt Masjid
mein Taravi k liye guzarna cahiye wo waqt
Apki wajase Bazar mein guzarjata hai ? Aur
phir apki bhi to ibadat ka sawal hai na .Agr
aap din bhar Shopping karti rahi to kiya Apki
ibadat mein qalal nahi padega ? Kiya ap utni
hi tarotaza mehsoos kar payengi jo Ghar mein
pursukon halat mein guzarne se mehsoos
hoga?
◄Aur in sabse badi baat jo chiz Allah ko
Napasand hai aur "Saqt Napasand "hai wo
chiz Sirf Nafsiyati Takmeel k liye karna kiya
itna zarori hai Humarey liye ?
◄◄" Tou Ramzan mein Bazaar ko choriye aur
ibadat se Dil lagayie "◄◄
.JazakAllah khairun ...!
.•*´¨`*•.¸¸.•*´ ¸.•*´¨`*•.¸¸.•* ´¸.•*´¨`*•.¸¸.• *
´¸.•*´¨`*•.¸¸. •*´
*** Bismillah hir-Rahman nir-Raheem ***
Hazrath Abu Hurairah Radi-Allahu-Anh u se
rivayiat hai Rasoollallahu Sallallahu Alaihi
Wasallam ne farmaya,
" Allah ko Masjidein bohot ziyada Mehboob
hain aur Bazaar intehayi Napasand hain ".
(Sahih Muslim ,Hadees number 671)
.•*´¨`*•.¸¸.•*´ ¸.•*´¨`*•.¸¸.•* ´¸.•*´¨`*•.¸¸.• *
´¸.•*´¨`*•.¸¸. •*´
(A great Reminder for Myself FIRST .In sha
Allah )
BismILLAH hir Rahman nir Raheem!
"ALLAH Ta'ala Jis K Liye Chahay Rizq Ko
Kushada Karta Hai Aur Mehdood Bhi Rakhta
Hai Aur Wo Duniya Hi Ki Zindagi Se Nehaal Ho
Gaye Hain Aur Duniyavi Zindagi Aakhirat Mein
Sirf Aik Saamaan Hi Hai."
(Sura-e-Ra'ad, Ayat#26)

Tuesday, 9 July 2013

GUSSA :-

Bina kisi baat ke hi gussa karna,zara zara si
baat per bhadak uthna badi kharab aadat
hai.Aksar aisa hota hai ki insaan gusse me
aakar duniya ke bahot se bane banaye kaam
bigaad deta hai aur kabhi kabhi gusse ki
jhunjhlahat me ALLAH ki naa shukri aur kufra
ka kalima bakne lagta hai aur apne imaan ki
daulat ko barbaad kar daalta hai isliye RASOOL
ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne apni
ummat ko mouka aur baat baat par gussa
karne se mana farmaya hai.

Chunanche hadees sharif me hai ki ek aadmi
Huzur ke darbar me hazir hua aur arz kiya ki
AYE ALLAH KE RASOOL SALLALLAHU ALAIHI
WASALLAM mujhe kisi amal par hukm dijiye
magar bahot hi thoda ho toh Huzur ne
irshaad farmaya_"Gussa mat kar"usne kaha
ki kuch aur irshaad farmaiye toh aapne phir
yahi farmaya ki"Gussa mat kar"phir kai baar
us aadmi ne malum kiya magar har baar
aapne yahi farmaya ki"Gussa mat kar"yeh
bukhari sharif ki hadees hai
(Mishkat 2-433, Ahyaul'ulum 2-165 Misri)

Ek hadees me aaya hai ki RASOOL E KHUDA
SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne irshaad
farmaya ki pahalwan wah nahi jo logo ko
pachad deta hai balki pahalwan wah hai jo
gusse ki halat me apne nafs ko kaabu me
rakhe.
(Mishkat 2-433, Mujatbai)

Gusse ka Ilaaj- Jab bemauka gusse ki jhallahat
aadmi par sawar ho jaaye toh Nabi
SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya hai
ki use cahiye ki wah fauran hi wuzu kare
isliye ki bemouka gussa dilane wala shaitaan
hai aur shaitaan aag se paida kiya gaya hai
aur aag paani se bhuj jaati hai isliye wuzu
gusse ki aag ko buja deta hai.
( mishkat 2-435, mujtabai)

Ek hadees me aisa bhi hy k agar khade hone
ki halat me gussa aa jaye to aadmi ko chahiye
k baith jaye fauran ,gussa utar jaega aur agar
baithne me gussa na utre to let jaye taaki
gussa khatam ho jaye.....
( mishkat 2- 343)
Pura padna.... Kabhi b Aap ko


aisi information nahi mili ho gi, k kaun


se Nabi kahan pe dafan hain!


1: Adam(A.S) Sri Lanka


2: Nooh(A.S) Jordan


3: Hood(A.S) Yamen

4: Sauleh(A.S) Lebanon

5: Looth(A.S) Iraq

6: Ibrahim(A.S) Israel

7: Isaq(A.S) Palestin

8: Yaqub(A.S) Palestin

9: Yusuf(A.S) Palestin

10: Ayub(A.S) Amman

11: Shoaib(A.S) Syria

12: Ismail (A.S) Or

13: Nabi-e-PAK (S.A.W) "Saudi Arabia"

mein_

aye Allah is sms ko aage bhejne wale

ki hr mushkilat dur kr De, Ameen!!

BEST SMS IN MY LIFE,

Zaroor parhna,

&,

forward karna,

AAP S.A.W.W K piyare bete ki wafat

per AAP S.A.W.W bohat ghamgeen

thay,

BIBI AYESHA R.A ne AAP S.A.W.W se

arz kiya k ALLAH Pak ne hr Nabi ko ye

darja atta kiya hai k woh apni zindagi

me koi 1,dua mang sakte hain,jo foran

qabool ki jayegi,

to AAP apne bete ki dobara zindagi ki

dua q nahi mang lete,

ALLAH Pak qabool karne wala hai,

AAP S.A.W.W ne farmaya k woh dua

maine aakhrat me apni "UMMAT" keliye

sanbhal rakhi hai,

"SUBHANALLAH"

Muje nahi lagta k is se acha sms ap k

mobile me hoga,

is liye,

Send to all Muslims..

Agr yeh dua agey fwd na kro to wapis mujhey

send ker dena

"Aey merey parwardigar"

apney Mehboob Salallahoalaihewasallam k

sadqey main poori duniya main jitne musalman

beemar hain ya preshan hain Tu unko apne

karam se maaf farma or un ki beemari or

preshaniyon ko door farma,, Ameen.....

Aye"mere parwardigar"apne pyare Mehboob

Salallahoalaihewasallam k sadqe main jsne

mujhe ye dua bheji hai us k tamam gunahon ko

maaf farma or hr kaam mai kamiyabi ata farma

or us k naseeb khol de.."Ameen"

apne liye zaroor dua krwaye najane ks ki zuban

se apki taqdeer sanwar jaye.

Puri kainat me nahi koi aisa:

Na koi Nabi Mohammed Jaisa,

Na koi Kalam Quran Jaisa,

Na koi Mazhab Islam Jaisa,

Na koi tohfa Namaz jaisa,

Na koi Saccha Abu Bakar Jaisa,

Na koi Aadil Umer Jaisa,

Na koi Sakhi Usman Gani Jaisa,

Na koi Bahadur Ali Jaisa,

Na koi shahid Imam Hussain Jaisa,

Na koi Imam Abu Hanifa Jaisa,

Na koi kalimmulla Musa jaisa,

Na koi sabrwala Ayyub jaisa,

Na koi khubsurat Yusuf jaisa,

Na koi aabid Yunus jaisa,

Na koi awaz Daud jaisa,

Na koi Wali Gouse-e-Azam Jaisa,

Na koi Jagha Madina Jaisa,

Na koi mahina ramzan jaisa,

Na koi din juma jaisa

Na koi sms is sms jaisa,

Forwad 2 all muslim...